Tum Jahan Ho Wahan (From "Road to Sikkim")

Tum jahaan ho, vahaan kya ye mausam nahin?
Kya najaare vahaan muskuraate nahin?

Kya vahaan ye ghataen barasati nahin?
Kya kabhi hum tumhein yaad aathe nahin?
Tum jahaan ho, vahaan kya ye mausam nahin?
Kya najaare vahaan muskuraate nahin?

Ye zamana hamesha ka bedard hai
Dard-a/e-dil pe koyi haath dharta nahin
Dil kee fitarat kabhi ek rahtee nahin
Zindagi-bhar vafaa koyi karthaa nahin

Phir bhee jaise bhulaayaa hai tumne hamein
Phir bhee jaise bhulaayaa hai tumne hamein
Is tarah bhee kisi ko bhulaate nahin
Tum jahaan ho, vahaan kya ye mausam nahin?
Kya najaare vahaan muskuraate nahin?

Dard hai mere dil ka mere geet mein
Geet gaata hoon main, tum muje saz do
Raat khamosh hai aur thanha hai dil
Tum kahaan ho, zaraa dil ko awaz do

Jo guzaare the hamne mohabbat mein din
Jo guzaare the hamne mohabbat mein din
Kya vo din ab tumhein yaad aathe nahin?
Tum jahaan ho, vahaan kya ye mausam nahin?
Kya najaare vahaan muskuraate nahin?
Tum jahaan ho, vahaan kya ye mausam nahin?



Credits
Writer(s): Jalal Malihabadi, Singh Vijay
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link