Zaroori Tha

Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri khat mera jalaaya hoga
Tune jab phool kitaabon se nikaale honge
Dene wala bhi tujhe yaad to aaya hoga

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi, bichhadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ki hum donon tavaaf-e-aarzu karte
Magar phir aarzuuon ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

Bataao, yaad hai tumko? wo jab dil ko churaaya tha
Churaai cheez ko tumne Khuda ka ghar banaaya tha
Wo jab kahte the, mera naam tum tasbeeh mein padhte ho
Mohabbat ki namaazon ko qaza karne se darte ho

Magar ab yaad aata hai, wo baatein thiin, mahz baatein

Kahiin baaton hi baaton mein mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

Wahi hain sooratein apni, wahi main hoon, wahi tum ho
Magar khoya hua hoon main, magar tum bhi kahiin gum ho
Mohabbat mein dagha ki thi, so kaafir the, so kaafir hain
Mili hain manzilein, phir bhi musaafir the, musaafir hain

Tere dil ke nikaale hum kahaan bhatkein, kahaan pahunche

Magar bhatke to yaad aaya, bhatakna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi, bichhadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ki hum donon tavaaf-e-aarzu karte
Magar phir aarzuuon ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha



Credits
Writer(s): Sahir Ali Bagga, Khalil Ur Rehman
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link