Duniya Bananewale Ne

Duniyaa banane waale ne
Duniyaa banane waale ne jab chaand banaaya
Aur paani mein ek raat padi uski jo chaaya
Ek baavaraa panchi ye pukaar utaa
Ki haay, ye noor ke saanche mein dhalaa kaun hae
Ek raat chaand jaa ke baadlon mein chhup gaya
Rone lagaa chakor ki haay, ye kya hua

Phir shokhiyon ne chaand ke vo kaan bhar die
Jeb-a/e-falak gurur ne ghatana shuru kiye
Ek raat aisee aayi ki gaayab ho gae
Fitane jagaa ke aap kaheen jaa ke so gae

Us raat saman kehtee jo, jo royaa hai chakora
Arsh-a/e-bareek pe sote khuda ko jagaa diya

Rahamaa gaya rahim ko aur usne pukaaraa
Are, jaa mere parinde teri bigadi ko sanvaara
Ye ishq hai khota too zameen par vo arsh par
Rota rahegaa vaqt kee ghadiyon ko umr bhar
Jaa teri dhadakanon ne hamein, hamein mom kiya hai
Hamne zameen ka chaand, hamne zameen ka chaand
Tuje bhej diya hai, tuje bhej diya hai



Credits
Writer(s): Chitalkar Ramchandra, Madhok D N
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link