Main Nashe Men Hoon

Zaahid sharaab peene de, masjid mein baithkar
Ya vo jagah bataa de, jahaan par khuda naa ho

Mujko yaaron maaf karnaa, main nashe mein hoon
Mujko yaaron maaf karnaa, main nashe mein hoon
Ab to mumkin hai bahakana, main nashe mein hoon
Mujko yaaron maaf karnaa, main nashe mein hoon

Kal kee yaaden mit rahee hain, dard bhee hai kam
Ab zaraa aaraam se aa-jaa raha hai dam
Are, aa-jaa raha hai dam

Kam hai ab dil ka tadapana, main nashe mein hoon
Ab to mumkin hai bahakana, main nashe mein hoon
Mujko yaaron maaf karnaa, main nashe mein hoon

Dhal chuki hai raat kab kee, uth gayee mahfil
Main kahaan jaaoon, nahin koyi meri manzil
Nahin koyi meri manzil

Do katam mushkil hai chalanaa, main nashe mein hoon
Mujko yaaron maaf karnaa, main nashe mein hoon

Hai zaraa see baath aur chhalke hain kuch pyaale
Par naa jaane kya kahenge ye jahaan waale
Kahenge ye jahaan waale

Tum bas itana yaad rakhnaa, main nashe mein hoon
Ab to mumkin hai bahakana, main nashe mein hoon
Mujko yaaron maaf karnaa, main nashe mein hoon



Credits
Writer(s): Shailendra, Jaikshan Shankar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link