Main Rahi Bhatkanewala Hoon, Pt. 2

Aye, (haan?) tumhaaraa naam kya hai?
Mera naam hai Baga (achchha, Baga, zaraa tehro)
Ab tum ghode par baith jaao, main is vakt paidal chaluungi
Are, ye kaise ho saktaa hai?

Mmm, to tum bhee isi par baith jaao
Main bhee isi par baith jaaoon? (haan)
Are, baap re! (kyun tumhein koyi aitaraaz hai?)
Naa, muje to koyi aitaraaz nahin hai
Par shaayad is ghode ko ho (bade vo ho)

Achchha, Baga, ye to batao
Tum kaun ho? kahaan rahete ho?
Kya karte ho? main kaun hoon ...

Main raahee bhatakane waalaa hoon
Koyi kya jaane, matvaala hoon
Main raahee bhatakane waalaa hoon
Koyi kya jaane, matvaala hoon

Ye mast ghata meri chadar hai
Ye dharti mera bistar hai
Ye mast ghata meri chadar hai
Ye dharti mera bistar hai

Main raat mein din ka ujalaa hoon
Koyi kya jaane, matvaala hoon
Main raahee bhatakane waalaa hoon
Koyi kya jaane, matvaala hoon

Ye bijlee raah dikhaati hoon
Manzil pe muje pahunchaati hai
Ye bijlee raah dikhaati hoon
Manzil pe muje pahunchaati hai

Main toofaanon ka paala hoon
Koyi kya jaane, matvaala hoon
Main raahee bhatakane waalaa hoon
Koyi kya jaane, matvaala hoon

Main machaloon to ek aag bhee hoon
Main machaloon to ek aag bhee hoon
Main jhuumuun to ek raag bhee hoon
Main jhuumuun to ek raag bhee hoon

Duniyaa se door, niraala hoon
Koyi kya jaane, matvaala hoon
Main raahee bhatakane waalaa hoon
Koyi kya jaane, matvaala hoon
Main raahee bhatakane waalaa hoon
Koyi kya jaane, matvaala hoon



Credits
Writer(s): Jaikshan Shankar, Jaipuri Hasrat
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link