Ghunghroo Ki Tarah Bajta Hi Raha

Ghungroo kee tarah bajataa hee raha hoon main
Ghungroo kee tarah bajataa hee raha hoon main
Kabhi is pag mein, kabhi us pag mein
Bandhta hee raha hoon main
Ghungroo kee tarah bajataa hee raha hoon main

Kabhi tut gaya, kabhi toda gaya
Sau baar mujhe phir joda gaya
Kabhi tut gaya, kabhi toda gaya
Sau baar mujhe phir joda gaya

Yoonhee lut-lut ke aur mit-mit ke
Banataa hee raha hoon main
Ghungroo kee tarah bajataa hee raha hoon main

Main karthaa raha oro kee kahi
Meri baath mere man hee mein rahee
Main karthaa raha oro kee kahi
Meri baath mere man hee mein rahee

Kabhi mandir mein, kabhi mahfil mein
Sajata hee raha hoon main
Ghungroo kee tarah bajataa hee raha hoon main

Apano mein rahe ya gairon mein
Ghungroo kee jagah to hai pairo mein
Apano mein rahe ya gairon mein
Ghungroo kee jagah to hai pairo mein

Fir kaisa gilaa, jag se jo milaa
Sahataa hee raha hoon main
Ghungroo kee tarah bajataa hee raha hoon main
Ghungroo kee tarah bajataa hee raha hoon main
Bajataa hee raha hoon bajataa hee raha hoon



Credits
Writer(s): Ravindra Jain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link