Aap Ki Khata Aap Ki Bewafayee

Koyi shikawa naa karenge, naa aazamayenge
Tum jahaan paanv rakhoge, ye dil bichhaayenge
Hum tumhaaree vafaa kee duniyaa mein
Pyaar hee pyaar lutaayenge

Aap se hai gilaa, aap se hee pyaar
Aap ka tha muje har pal intazaar
Bardaasht nahin hota ab mujse, mere yaar

Aap kee khataa, bewafaai, maaf karthaa hai dil jaane kyun
Aap se, sanam, intihaai pyaar karthaa hai dil jaane kyun

Aap kee aarazu dil ko baar-baar
Lekin hain shiqaayaten mujko beshumaar
Bardaasht nahin hota ab mujse, mere yaar

Aap kee khataa, bewafaai, maaf karthaa hai dil jaane kyun
Aap se, sanam, intihaai pyaar karthaa hai dil jaane kyun

Hum ye nahin kehthe dil ke bure ho tum
Gustaakhiyaan lekin karte rahete ho tum
Hum ye nahin kehthe dil ke bure ho tum
Gustaakhiyaan lekin karte rahete ho tum

Aap kee sabhee gustaakhiyaan maaf karthaa hai dil jaane kyun
Aap kee khataa, bewafaai, maaf karthaa hai dil jaane kyun

Do qadam chalo tum, do qadam chalem hum
Khaamoshiyon ka ye qissa khatam karen hum

Aap kee sabhee khaamoshiyaan maaf karthaa hai dil jaane kyun
Aap kee khataa, bewafaai, maaf karthaa hai dil jaane kyun
Aap se, sanam, intihaai pyaar karthaa hai dil jaane kyun

Credits
Writer(s): Himesh Vipin Reshammiya
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link