Cassette Kahani

Ek dafa ka zikr hai
Ek ghanay jungle main ek chhota sa jugnu rehta tha
Woh roz raat ko jungle main bhatkay hu'on ko rah dikhata tha
Ek raat jugnu issi tarhan apnay khoj pe tha
Ke uska darya ke kinaray guzar hua
Uss raat pata nahin kya baat thi
Ya shayad jugnu ka dehaan kahin aur tha
Jo bhi tha
Jugnu ne zindagi main pehli dafa chand ka aqs dekha

Andheray ka bojh sambhalna mera kaam hai
Tum kaun ho
Kaisay phel gaye ho jahan main
Tareeki se kya nahin dartay ho
Kuch kehtay kyun nahin

Phir ek raat bohot tez toofan aya

Jab jugnu ne apni ankhen kholeen
Tau ek bohot baray se pahaar pe tha
Jo manzar apne samnay paya
Uss ne uski dunya hi badal di

Hoon main jo waqt hai jab se
Kaisay samjho ge main kaun hoon
Chhoti si roshni se
Kaisay yahan tak pohonchay ho

Kuch kehtay kyun nahin

Qissa abhi jaari hai
Agar aap kahani ka baqiya hissa sunna chahtay hain
Tau cassette ki side B lagaiye



Credits
Writer(s): Mohammad Ali Suhail, Nadir Shahzad Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link