Are Diwano Mujhe Pehchano (with Dialogues)

Tum log ye bhool gaye ki Don zakhmi hai to kya
Phir bhi Don hai
Don ko pakadna mushkil he nahi, namumkin hai

Are, deewano, mujhe pehchaano
Kahan se aaya, main hoon kaun
Are, deewano, mujhe pehchaano
Kahan se aaya, main hoon kaun

Main hoon kaun, main hoon kaun
Main hoon, main hoon, main hoon kaun
(Don! Don! Don! Don! Don!)

Main hoon Don, main hoon Don
Main hoon, main hoon, main hoon Don

Are, tumne jo dekha hai, socha hai, samjha hai, jaana hai
Wo main nahi, wo main nahi
Logon ki nazron ne mujhko yahan jo bhi maana hai
Wo main nahi, wo main nahi

Aawara baadal ko, saudaai pagal ko
Duniya mein samjha hai kaun

Are, deewano, mujhe pehchaano
Zara pehchaano, main hoon Don

Are, yaaron ka wo yaar hoon, yaari mein ye jaan luta de jo
Main hoon wahi, main hoon wahi
Dushman ka dushman hoon wo, dushman ke chhakke chhuda de jo
Main hoon wahi, main hoon wahi

Tum jaano, na jaano, maine to jaana hai
Mehfil mein kaisa hai kaun

Are, deewano, mujhe pehchaano
Zara pehchaano, main hoon Don

Are, maine kya socha hai, kya khwaab hai meri aankhon mein
Tum jaano na, tum jaano na
Maine bhi badla hai, kya rang baaton-he-baaton mein
Tum jaano na, tum jaano na

Chehre pe chehra hai, parde pe parda hai
Duniya mein samjha hai kaun

Are, deewano, mujhe pehchaano
Zara pehchaano, main hoon Don
Main hoon Don, main hoon Don
Main hoon, main hoon, main hoon Don



Credits
Writer(s): Anjaan, Anandji V Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link