Ameeron Ki Sham Gharibon Ke Naam

Ye ansu, ye jazbaat tum bechate ho
Garibon ke halaat tum bechate ho
Amiron kee shaam garibon ke naam

Amiron kee shaam garibon ke naam
Amiron kee shaam garibon ke naam

Amiron kee shaam garibon ke naam
Isi baath par sabko mera salaam
Amiron kee shaam garibon ke naam
Amiron kee shaam garibon ke naam

Ye kya hai tamaasha, ye kya hai sitam
Ye kya hai tamaasha, ye kya hai sitam
Mazaa aa gaya, bas khuda kee qasam
Khushii kee dukaanon pe bikta hai gam
...bikta hai gam

Fidaa aise gam pe hain khushiyaan tamaam
Amiron kee shaam garibon ke naam
Amiron kee shaam garibon ke naam

Ye fanakaar kee ek haseen yaad hai
Ye fanakaar kee ek haseen yaad hai
Kisi bhukhe-nange kee fariyaad hai
Ye tasveer to qaabil-a/e-daad hai
...qaabil-a/e-daad hai

Ise dijie aap pehlaa inaam
Amiron kee shaam garibon ke naam
Amiron kee shaam garibon ke naam

Ye maasoom baccha, ye majaboor maan
Ye maasoom baccha, ye majaboor maan
Naa chulhaa, naa bartan, naa ghar, naa dhuaan
Naa chulhaa, naa bartan, naa ghar, naa dhuaan
Garibi kee munh bolti daastaan

Amiri ka munh bolta intikaam
Amiron kee shaam garibon ke naam
Amiron kee shaam garibon ke naam

Isi baath par sabko mera salaam
Amiron kee shaam garibon ke naam
Amiron kee shaam garibon ke naam



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Kudalkar Laxmikant, Pyarelal Ramprasad Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link