Aa Zara Mere Hamnasheen

Aa, zaraa mere hamanashin, thaam le, muje thaam le
Aa, zaraa mere hamanashin, thaam le, muje thaam le
Zindagi se bhaag kar aayaa hoon main, muje thaam le
Aa, zaraa mere hamanashin, thaam le, muje thaam le
Aa, zaraa...

Apanee hasti se khud main pareshaan hoon
Jiski manzil nahin aisa insaan hoon

Apanee hasti se khud main pareshaan hoon
Jiski manzil nahin aisa insaan hoon
Main kahaan tha, kahaan se kahaan aa gaya
Kya se kya ho gaya, main bhee hairaan hoon

Aa, zaraa mere hamanashin, thaam le, muje thaam le
Aa, zaraa...

Bujh gaya bhee to kya apanae dil ka diya
Ab naa roenge hum roshni ke liye

Bujh gaya bhee to kya apanae dil ka diya
Ab naa roenge hum roshni ke liye
Dil ka sheesha jo toota to gam kyun karen?
Dard kaafii hai bas zindagi ke liye

Aa, zaraa mere hamanashin, thaam le, muje thaam le
Aa, zaraa...

Raat aatee rahee, raat jaatee rahee
Mere gam ka naa lekin sanvera hua

Raat aatee rahee, raat jaatee rahee
Mere gam ka naa lekin sanvera hua
Apanae-apanae naseebon kee baathen hain ye
Jo milaa hum ko uska bahut shukriya

Aa, zaraa mere hamanashin, thaam le, muje thaam le
Zindagi se bhaag kar aayaa hoon main, muje thaam le
Aa, zaraa...



Credits
Writer(s): Jaipuri Hasrat, Anu Malik
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link