O Mata Bhavani

Jo ab tak cchopa hai kaheen par gagan mein
Vaheen swarg laa do hamaare vatan mein

O mata bhavani, sakal jag kee raani
Bane desh apana bahaaron ka sapnaa
Ho sukh bhari sabaki jeevan kahaani

O mata bhavani, sakal jag kee raani
Bane desh apana bahaaron ka sapnaa
Ho sukh bhari sabaki jeevan kahaani
O mata bhavani, sakal jag kee raani

Jalan aur nafrat ke sholay buja do
Chalan dushmani ka dilon se mitaa do
Bahe nahin kisi ka lahoo banake paani

O mata bhavani, sakal jag kee raani

Zameen se garibi ka har daav chhute
Ye oonch aur neech kee diwaar toote
Hansee-khushee apanee ho ek zindgaani

O mata bhavani, sakal jag kee raani
Bane desh apana bahaaron ka sapnaa
Ho sukh bhari sabaki jeevan kahaani
O mata bhavani, sakal jag kee raani



Credits
Writer(s): Majrooh Sultanpuri, Nagrath Rajesh Roshan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link