Jai Ambe Gauri

Jai ambe gauri
(Maiya, Jai shyama gauri)
Tumko nishi-din dhyavat (tumko nishi-din dhyavat)
Hari brahma shivri (om jai ambe gauri)

Maang sindoor virajat, teeko mrigmad ko
(Maiya, teeko mrigmad ko)
Ujjwal se dou naina (ujjwal se dou naina)
Chandrabadan niko (om Jai ambe gauri)

Kanak samaan kalevar, raktambar raje
(Maiya, raktambar raje)
Raktpushp ki mala (raktpushp ki mala)
Kanthan par saje (om jai ambe gauri)

Keheri vahan rajat, khadg khappardhari
(Maiya, khadg khappardhari)
Sur, nar, muni jan sevat (sur, nar, muni jan sevat)
Tinke dukhhaari (om jai ambe gauri)

Kanan kundal shobhit, nasagre moti
(Maiya, nasagre moti)
Kotik chandra divakar (kotik chandra divakar)
Rajat sam jyoti (om jai ambe gauri)

Shumbh, nishumbh vidaare, mahishasur ghaati
(Maiya, mahishasur ghaati)
Dhoomra vilochan naina (dhoomra vilochan naina)
Nish-din madmaati (om jai ambe gauri)

Chand-mund sanhaare, shonit beej hare
(Maiya, shonit beej hare)
Madhu kaitabh dou maare (madhu kaitabh dou maare)
Sur bhayheen kare (Om Jai ambe gauri)

Brahmani rudrani, tum kamala rani
(Maiya, tum kamala rani)
Agam-nigam bakhani (agam-nigam bakhani)
Tum shiv patarani (om jai ambe gauri)

६४ yogini gaavat, nritya karat bhairav
(Maiya, nritya karat bhairav)
Bajat taal mridanga (bajat taal mridanga)
Aru bajat damaru (om jai ambe gauri)

Tum hi jag ki mata, tum hi ho bharta
(Maiya, tum hi ho bharta)
Bhaktan ki dukh harta (bhaktan ki dukh harta)
Sukh-sampatti karta (om jai ambe gauri)

Bhuja chaar ati shobhit, var-mudra dhari
(Maiya, var-mudra dhari)
Manvanchhit phal paavat (manvanchhit phal paavat)
Sevat nar-naari (om jai ambe gauri)

Kanchan thaal virajat, agar, kapoor, baati
(Maiya, agar, kapoor, baati)
Shrimalaketu mein rajat (shrimalaketu mein rajat)
Koti ratan jyoti (om jai ambe gauri)

Ambe maa ki aarti jo koi nar gaave
(Maiya, jo koi nar gaave)
Kahat shivanand swami (kahat shivanand swami)
Sukh-sampatti paave (Om Jai Ambe Gauri)

Jai Ambe Gauri
Maiya, Jai shyama gauri
Tumko nishi-din dhyavat, tumko nishi-din dhyavat
Hari brahma shivri, Om Jai ambe gauri

Om Jai ambe gauri
Om Jai ambe gauri



Credits
Writer(s): Traditional, Sayed Ali
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link