Suno Sajna Papihe Ne Kaha

Suno sajna papihe ne...
Suno sajna papihe ne kaha sabse pukaarke
Sambhal jaao chaman waalo...
Sambhal jaao chaman waalo ke aaye din bahaar ke
Suno sajna, suno sajna

Phoolon ki daaliyaan bhi yehi geet gaa rahi hain
Ghadiyaan piya milan ki nazdeek aa rahi hain
Nazdeek aa rahi hain

Hawaaon ne jo chhede hain...
Hawaaon ne jo chhede hain fasaane hain wo pyaar ke

Sambhal jaao chaman waalo ke aaye din bahaar ke
Suno sajna, suno sajna

Dekho, na aise dekho, marzi hai kya tumhaari
Bechain kar na dena tumko kasam hamaari
Tumko kasam hamaari

Hum heen dushman na ban jaaye...
Hum heen dushman na ban jaaye kahin apni qaraar ke

Sambhal jaao chaman waalo ke aaye din bahaar ke
Suno sajna, suno sajna

Baagon main pad gaye hain saawan ke mast jhoole
Aisa sama jo dekha raahi bhi raah bhoole
Raahi bhi raah bhoole

Ke ji chaaha yahin rakh de...
Ke ji chaaha yahin rakh de umar saari guzaar ke

Sambhal jaao chaman waalo ke aaye din bahaar ke
Suno sajna, suno sajna



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Kudalkar Laxmikant, Pyarelal Ramprasad Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link