Mai Hun Aur Khoye Huye Pyar Ki Yade Hai

Main hoon aur khoye huye pyaar ki yaadein hain
Main hoon aur khoye huye pyaar ki yaadein hain
Main hoon aur khoye huye pyaar ki yaadein hain

Ab jo mere din aur ab jo meri raatein hain
Unmein sirf aansoo hain, unmein sirf dard ki, ranj ki baatein hain
Aur fariyaadein hain mera ab koi nahi

Main hoon aur khoye huye pyaar ki yaadein hain

Doob gaya hai dil gham ke andhere mein
Meri saari duniya hai dard ke ghere mein
Mere saare geet dhale aahon mein
Ban ke deewana ab yahaan-wahaan phirta hoon
Thokar khata hoon un raahon mein

Jahan use dekha tha, jahan use chaaha tha
Jahan main hansa tha aur baad mein roya tha
Jahan use paaya tha, paake khoya tha

Jahan kabhi phoolon ke kaliyon ke saaye the
Rangeen-rangeen mehki rut ne
Har ik kadam par raas rachaye the
Gulshan-gulshan din mein ujale the
Jagmag-jagmag noor tha raaton mein jhilmil-jhilmil

Jahan maine khwaabon ki dekhi thi manzil
Jahan meri kashti ne paaya tha saahil
Jahan maine paayi thi palkon ki chhaon

Jahan meri baahon mein kal thi kisi ki marmari baahein
Jahan ek chehre se hatati nahi thi meri nigahein
Jahan kal narmi hi narmi thi
Pyaar hi pyaar tha baaton mein haath the haathon mein

Jahan kal gaaye the prem taraane
Jahan kal dekhe the sapne suhaane
Kisi ko sunaaye the dil ke fasane
Jahan kal khaai thi jeene ki, marne ki qasme
Todi thi duniya ki saari rasme

Jahan kal barasa tha preet ka baadal
Jahan maine thaama tha koi aanchal
Jahan pehli baar hua tha main paagal

Ab un raahon mein koi nahi hai
Ab hain wo raahein veeraan-veeraan
Dil bhi hai jaise hairaan-hairaan

Jaane kahaan gaya mere sapnon ka mela
Aise hi khyaalon mein khoya-khoya
Ghoom raha tha main kabse akela

Chamka sitaare jaisa koi gagan mein
Goonji sada koi mann aangan mein

Kisi ne pukara mujhe, mudh ke jo dekha maine
Mil gaya khoya hua dil ka sahara mujhe
Jise maine chaha tha jise maine pooja tha
Laut ke aaya hai, thoda sharminda hai, thoda ghabraaya hai
Zulf pareshan hain, kaanpate hoth aur bheegi hui aankhein hain

Dekh raha hai mujhe gumsum-gumsum
Uski nazar jaise poochh rahi ho
Itna bata do kahin khafa to nahin tum
Pyaar jo dekha phir meri nigaahon mein
Agale hi pal tha wo meri in baahon mein
Bhul gaya mera dil jaise har gham
Badal gaya jaise duniya ka mausam

Jhoome nazare aur jhoomi fizaaen
Aur jhoome chaman aur jhoomi havaayein
Jaise phir kehne lagi saari dishaayein
Kitni hasin hai, kitni suhaani
Hum dono ki prem kahaani
Hum dono ki prem kahaani
Hum dono ki prem kahaani



Credits
Writer(s): Javed Akhtar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link