Bolo Har Har Har (From "Shivaay")

Aag bahe teri rag mein
Tujh sa kahaan koi jag mein
Hai waqt ka tu hi toh pehla pehar
Tu aankh jo khole toh dhaaye kehar

Toh bolo, "Har-har-har"
Toh bolo, "Har-har-har"
Toh bolo, "Har-har-har"

Na aadi, na ant hai uska
Woh sabka, na inka-unka
Wahi hai maala, wahi hai manka
Mast malang woh apni dhun ka

Jantar, mantar, tantar, gyaani
Hai sarvagya swaabhimaani
Mrityunjay hai, mahaavinaashi
Omkaar hai isi ki vaani

(Isi ki, isi ki, isi ki vaani)
(Isi ki, isi ki, isi ki vaani)

Bhaang dhatoora, bel ka patta
Teenon lok isi ki satta
Vish peekar bhi adig, amar hai
Mahadev har-har hai japta (japta)

Wahi shoonya hai, wahi ikaay
Wahi shoonya hai, wahi ikaay
Wahi shoonya hai, wahi ikaay
Jiske bheetar basa Shivaay

Toh bolo, "Har-har-har"
Toh bolo, "Har-har-har"

Aghora naam paro mantra
Na astitatvam guroh para (Mahadev)
Naagendrahaaraay trilochanaya
Bhasmaangaragaay maheshvaraya
Nityaaya-Shuddhaya digambaraaya
Tasmay karaay namah Shivaay

Shiv rakshamam, Shiv paahimam
Shiv traahimam, Shiv rakshamam
Shiv paahimam, Shiv paahimam
Mahadev ji tvam paahimam
Sharanagatam tvam paahimam
Aav rakshamam Shiv, Paahimam Shiv

Aankh moond kar dekh raha hai
Saath samay ke khel raha hai

Mahadev, maha-ekaaki
Jiske liye jagat hai jhaanki
Jataa mein Ganga, chaand mukut hai
Saumya kabhi, kabhi bada vikat hai
Aankh se janma hai Kailaashi
Shakti jiski daras ki pyaasi
Hai pyaasi, haan, pyaasi

Ram bhi uska, Raavan uska
Jeevan uska, maran bhi uska
Taandav hai aur dhyaan bhi woh hai
Agyaani ka gyaan bhi woh hai

Aankh teesri jab yeh khole
Hile dhara aur swarg bhi dole
Goonj uthe har disha kshitij mein
Naad usi ka bam-bam Bhole (Bhole)

Wahi shoonya hai, wahi ikaay
Wahi shoonya hai, wahi ikaay
Wahi shoonya hai, wahi ikaay
Jiske bheetar basa Shivaay

Tu hi Shiva, tujh mein hi Shiva
Koi nahi yahaan tere siva
Uda raakh, agni ko jwaala tu kar
Mita de andhere tu ban ke seher

Toh bolo, "Har-har-har"

Ja, ja Kailash, ja kar vinaash
Ja, ja Kailash, ja kar vinaash
Ja, ja Kailash, ja kar vinaash
Ja, ja Kailash, kar sarvnaash (Toh bolo, "Har-har-har")

Ja, ja Kailash, ja kar vinaash
Ja, ja Kailash, ja kar vinaash
Ja, ja Kailash, ja kar vinaash
Ja, ja Kailash, kar sarvnaash (Toh bolo, "Har-har-har")

Aankh moond kar dekh raha hai
Saath samay ke khel raha hai
Mahadev, maha-ekaaki
Jiske liye jagat hai jhaanki (Toh bolo, "Har-har-har")

Jataa mein Ganga, chaand mukut hai
Saumya kabhi, kabhi bada vikat hai
Aankh se janma hai Kailaashi
Shakti jiski daras ki pyaasi (Toh bolo, "Har-har-har")

Yachchha-svaroopaa jataadharaya
Pinaakahastaaya sanaatanaya
Divya devaya digambaraya
Tasmay karaay namah Shivaay



Credits
Writer(s): Mithoon, Sandeep Shrivastava
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link