Raat Ki Hatheli Par (with Dialogues)

Ji, khade-khade kya dekh rahe hain aap?
Kamaal hai, uss chaand ko ghanton dekhta raha
Usne ek baar bhi nahin toka
Toh chaand ko hi dekhiye na
Mmm, magar woh saans nahin leta

Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai

Uski narm kirnon mein tum ko dekhta hoon toh
Dil dhadak sa jaata hai, dil dhadak sa jaata hai

Tum kahaan se aayi ho? Kis nagar ko jaaogi?

Sochta hoon main hairaan
Chaand jaisa yeh chehra, raat jaisi yeh zulfein
Hain jagaaye sau armaan

Ikk nasha sa aankhon mein dheere-dheere chhaata hai

Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Uski narm kirnon mein tum ko dekhta hoon toh
Dil dhadak sa jaata hai, dil dhadak sa jaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai

Meri iss tanhaai mein, mere iss veerane mein

Rang leke tum aayi
Phir bhi sochta hoon main, "Kya yahaan tum sach-much ho
Ya ho sirf parchaai?"

Khwaab jaisa banta hai, aur toot jaata hai

Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Uski narm kirnon mein tum ko dekhta hoon toh
Dil dhadak sa jaata hai, dil dhadak sa jaata hai

Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai

Credits
Writer(s): Javed Akhtar, Anu Malik
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link