Tumhen Dillagi Bhool Jani Paregee

Honton ke paas aye hansi, kya majaal hai

Dil ka muamla hai koi dillagi nahin
Zakhm pe zakhm kha ke ji
Apne lahoo ke ghont pi
Aah na kar labon ko si

Ishq hai dillagi nahin
Dil laga kar pata chaley ga tumhein
Aashiqui dillagi nahin hoti
Kuch khel nahin hai ishq ki laag

Paani na samajh ye aag hai aag
Khoon rulaye gi ye lagi dil ki
Khel samjho na dillagi dil ki
Yeh ishq nahin aasaan

Bas itna samajh leejay
Ik aag ka darya hai
Aur doob ke jaana hai
Tumhein dillagi bhool jani pare gi

Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Kabhi dil kissi se laga kar to dekho

Wafaaon ki hum se tawaqo nahin hai
Wafaaon ki hum se tawaqo nahin hai
Magar ek baar aazma kar to dekho
Zamanay ko apna bana kar to dekha

Humein bhi tum apna bana kar to dekho
Khuda ke liya chor do ab yeh parda...
Rukh se naqab utha, ke bari der ho gayi
Mahol ko tilaawat-e-quraan kiye hoye

Khuda ke liye chor do ab yeh parda...
Hum na samjhe teri nazron ka taqaza kya hai
Kabhi parda kabhi jalwa yeh tamasha kya hai
Khuda ke liye chor do ab yeh parda...

Jan-e-jan hum se uljhan nahin dekhi jaati
Khuda ke liye chor do ab yeh parda...
Khuda ke liya chor do ab yeh parda
Keh hain aaj hum tum nahin ghair koi

Shab-e-wasl bhi hai hijaab iss kadar kyon
Zara rukh se aanchal utha kar to dekho
Jafaaein buhat kien buhat zulm dhaye
Kabhi ik nigah-e-karam iss taraf bhi

Humesha huay dekh kar mujh ko barham
Kissi din zara muskura kar to dekho
Jo ulfat mein har ek sitam hai gawara
Yeh sab kuch hai paas-e-wafa tum se warna
Satate ho din raat jiss tarha mujh ko
Kissi ghair ko youn sata kar to dekho
Agarche kissi baat par woh khafa hain
To acha yehi hai tum apni si kar lo
Woh maanein na mannein yeh marzi hai unki
Magar un ko pur-nam mana kar to dekho
Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Muhabbat ki raahon mein aa kar to dekho



Credits
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan, Purnam Allah Abadi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link