Pehle Se Kya Likha Thha

Pehle se kya likhaa tha ek viraan jazire par
Chattaanon se utar ke jab sooraj gurub ho
Surkh-o-sunharee sahilon pe tum milo muje
Pehle se kya likhaa tha ek viraan jazire par
Chattaanon se utar ke jab sooraj gurub ho
Surkh-o-sunharee sahilon pe tum milo muje

Aur is tarah fisal ke giron tum mere qareeb
Jaise samandaron ne abhee laa ke phenkaa ho
Ye pehle se navishta tha ya ittifaaq tha?
Sooraj ke baad chaand nikalne ke vaqfe mein
Tarikhi jab ke maut soonghati hai har taraf
Tumko tha intazaar kee manzar se main hatuun
To khud ko us garajte samandar mein phenk do

Shaayad kisi ke dard visarjan ko aayi thi
Aur main ki is khyaal se teharaa raha vaheen
Tum is qadar nahin phu besahaara see lagee
Ye khoff tha ki tumko samandar naa khinch le

Us raat chaand bhee to bahut der se utaa
Aur tum kitaab-a/e-dard ke zakhmon ko khol kar
Mujko sunaati bhee rahee aur faadti rahee
Paani pe door-door tak purje se bich gae

Rukhsat ke vaqt haath milaate hue magar
Karavat badal raha tha koyi dard seene mein
Ansu tumhaaree aankhon mein phir se navishta the
Aur ittifaaq meri bhee aankhen chhalak gayi
Pehle se kya navishta hai? kya ittifaaq hai?



Credits
Writer(s): Gulzar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link