Chaudhvin Ka Chand

Chaudavin ka chaand ho, ya aafatab ho?
Jo bhee ho tum khuda kee kasam, laajawab ho
Chaudavin ka chaand ho, ya aafatab ho?

Jo bhee ho tum khuda kee qasam, laajawab ho
Chaudavin ka chaand ho

Zulfen hain jaise kaandhon pe baadal jhuke hue
Aankhen hain jaise may ke payaale bhare hue
Masti hai jismein pyaar kee tum, vo sharaab ho
Chaudavin ka chaand ho

Cheharaa hai jaise jheel mein hansata hua kanwal
Ya zindagi ke saz pe chhedi huee gazal
Jaane bahaar tum kisi shaayar ka khwaab ho
Chaudavin ka chaand ho

Honton pe khelti hain tabassum kee bijliyaan
Sajde tumhaaree raah mein karti hain kaikashan

Chaudavin ka chaand ho, ya aafatab ho?
Jo bhee ho tum khuda kee kasam, laajawab ho
Chaudavin ka chaand ho



Credits
Writer(s): Shankar Sharma Ravi, Shakeel Badayuni
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link