Kabhi Ae Haqeeqat

Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir
Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein

Ke Hazaron Sajde Tadap Rahe Hain
Meri Jabeen-e-Niaz Mein

Tarb Ashnaye Kharosh Ho
Tu Nawa Hai Mehram-e-Gosh Ho

Woh Surood Kya Ke Chupa Huwa Ho
Sakoot-e-Parda-e-Saaz Mein

Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse
Tera Aaeena Hai Woh Aaeena

Keh Shikast Ho To Aziz Tar Hai
Nigah-e-Aaeena Saaz Mein

Dam-e-Tof Karmak-e-Shama Ne
Ye Kaha Ke Woh Asar-e-Kuhan

Na Teri Hikayat-e-Souz Mein
Na Meri Hadees-e-Gudaz Mein

Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili
Jo Amaan Mili To Kahan Mili

Mere Jurm-e-Khana Kharab Ko
Tere Afuw-e-Banda Nawaz Mein

Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan
Na Woh Husn Mein Raheen Shaukiyan

Na Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi
Na Kham Hai Zulf-e-Ayaaz Mein

Jo Mein Sar Basajda Huwa Kabhi
To Zameen Se Aane Lagi Sada

Tera Dil To Hai Sanam Ashna
Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein



Credits
Writer(s): Traditional, Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link