Ankh Uthi Mohabbat Ne

Raat yun dil mein teri bhooli hui yaad aayi
Jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaye
Jaise sahraon mein haule se chale baad-ae-naseem
Jaise bimaar ko be-wajaah quraar aa jaaye

Aaj ki baat phir nahin hogii
Yeh mulaqaat phir nahi hogii
Aise badal to phir bi aayenge
Aisi barsaat phir nahi hogi

Ik nazar murke dekhne wale
Kya yeh hairat phir nahi hogi

Us k nazdik ghum-e-tark e wafa kuch bhi nahi
Mutmain aesay hain wo jese huwa kuch bhi nahi
Ab tu hathon se lakeeren bhi mitti jati hain
Us ko kho ker tu mere pass raha kuch b nhi

Kal bicharna tu phir ehad-e-wafa soch k bandh
Abi aghaz-e-mohabbat he gaya kuch b nahi
Main tu is wastay chup ho k tamasha na bane
Tu smajta he mujhe tujh se gila kuch b nahi

Chaandni raat raad aati hai
Yeh mulaqaat yaad aati hai
Dekh kar un ghaneri zulfon ko
Mast barsaat yaad aati hai

Aankh uthi... Lo... Wo... Aankh uthi...
Jis taraf uth gayi hain aanhen hain
Chasm-e-baddur kiya nigahen hain

Aankh uthi... Lo... Wo... Aankh uthi...
Jidar uthai nazar qatl-e-aam tumne kiya
Qazaa ka naam huya aur kaam tumne kiya

Aankh uthi... Lo... Wo... Aankh uthi...

Ankh uthi mohabbat ne angrai li
Dil ka sauda huya chandi raat mein
Unki nazron ne kuch aisa jaddo kiya
lutt gaye hum to pehli mulaqat mein

Hum hosh bhi apne bhul gaye
Imaan bhi apna bhul gaye
Ik dil hi nahi us bas mein
Hum na jaane kiya kiya bhul gaye

Jo baat thi unko kehne ki
Wo baat hi kehna bhul gaye
Gairon ke fasane yaad rahe
Hum apna fasana bhul gaye

Unki nazron ne hum pe aisa jaddo kiya

Kya kya nigah yaar bata hasin ho gayi
Bijli kabhi bani kabhi shamshin ho gayi

Mehfil mein baar baar uni par nazar gayi
Humne bachai lakh magar phir udar gayi

Unki nigah mein koi jadoo zaroor
Jis par padi usi ke jigar mein utar gayi

Unki nazron ne hum pe aisa jaddo kiya

Banke tasweer-e-ghum reh gaye hain
Khoye khoye se hum reh gaye hain

Bant li sabne aapas mein khushiyaan
Mere hisse mein ghum reh gaye hain

Ab na uthna sarhaane se mere
Ab to ginti ke dum reh gaye hain

Aye saba aik zehmat zara kar
Unn ki zulfon mai hum reh gaye hain

Kainat e jafaa o wafaa mai
Aik tum aik hum reh gaye hain

Aik tum aik hum reh gaye hain

(Raag)

Aik tum aik hum reh gaye hain

Aaj saaqi pila sheikh ko bhi
Ek yeh mohtaram rehe gaye hain

Nazar mila ke mere paas ja kar lut liya
Nazar hati thi ke phir muskura kar lut liya

Koi yeh lut toh dekho ke usne jab chaha
Mujh mein rehe kar mujhmein sama kar lut liya

Na lut-tay hum magar un mast angriyon ne jigar
Nazar bachaatey huay dub dubaa k loot liyaa

Unki nazron ne kuch aisa jaadu kiya
Lut gaye ham toh peheli mula qaat mein

Unki nazron ne hum pe aisa jaddo kiya
Unki nazron ne kuch aisa jaddo kiya
Lutt gaye hum to pehli mulaaqaat mai

Saath apnaa wafaa mai na chootay kabhi
Pyaar ki dor ban kar naa chootay kabhi

Choot jaye zamaana koi gham nahi
Haath teraa rahey mere haath mai
Ankh uthi mohabbat ne angrai li
Dil ka sauda huya chandi raat mein



Credits
Writer(s): Farrukh Fateh Ali Khan, Abdul Sattar Niazi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link