Tujhe Jeevan Ki Dor Se

Tujhe jeewan ki door se baandh liya hai, baandh liya hai
Tere zulm-o-sitam sar-aankhon per
Maine badle mein pyaar ke pyaar diya hai, pyaar diya hai
Teri khushiyaan aur gham sar-aankhon per

Tujhe jeewan ki door se baandh liya hai, baandh liya hai
Tere zulm-o-sitam sar-aankhon per

Apsara koi aaye to dekhoon nahi
Koi behkaaye haske to behkoon nahi
Apsara koi aaye to dekhoon nahi
Ho, koi behkaaye haske to behkoon nahi

Tore matwaare naino ne jaadu kiya
Ho, tore matwaare naino ne jaadu kiya

Teri ulfat, sanam, sar-aankhon per
Maine badle mein pyaar ke pyaar diya hai, pyaar diya hai
Teri khushiyaan aur gham sar-aankhon per

Mere jeewan ki anmit kahani hai tu
Meri taqdeer aur zindgaani hai tu
Mere jeewan ki anmit kahani hai tu
Meri taqdeer aur zindgaani hai tu

Liye firte hain sabse chupaaye hue
Liye firte hain sabse chupaaye hue
Teri tasweer sar-aankhon per

Tujhe jeewan ki door se baandh liya hai, baandh liya hai
Tere zulm-o-sitam sar-aankhon per

Chaand-sooraj bhi hain teri parchaaiyaan
Tujhse roshann huin dil ki gehraaiyaan
Chaand-sooraj bhi hain teri parchaaiyaan
Tujhse roshann huin dil ki gehraaiyaan

Tere chehre ki jhilmil se manzil mile
Ho, tere chehre ki jhilmil se manzil mile
Aisi pyaari poonam sar-aankhon per

Maine badle mein pyaar ke pyaar diya hai, pyaar diya hai
Teri khushiyaan aur gham sar-aankhon per
Tujhe jeewan ki door se baandh liya hai, baandh liya hai
Tere zulm-o-sitam sar-aankhon per

Tujhe jeewan ki door se baandh liya hai, baandh liya hai
Tere zulm-o-sitam sar-aankhon per



Credits
Writer(s): Jaikshan Shankar, Jaipuri Hasrat
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link