Mere Saqi Yeh Tamasha

Bhool Jaon Mein Zamane Ka Gila Ae Saqi
Haan Pila Aur Pila, Aur Pila Ae Saqi

Baandh Kuch Aissi Mohabbat Ki Hawa Ae Saqi
Phir Badal Jaye Zamane Ki Fiza Ae Saqi

Khanakte Jaam Ka Mauhtaj Mein Nahi Saqi
Teri Nigah Salamat Mujhe Kami Kya Hai

Mere Saqi Yeh Tamasha, Tere Maikhane Ka

Jhoom Kar Ayi Hai Padmast Ghata Ae Saqi
Iss Nakami Ka Na Reh Jaye Gila Ae Saqi

Jaam Par Jaam Diye Ja, Tere Maikhane Ki Khair
Saqi Teri Ho Khair, Tere Maikhane Ki Khair

Gila Nahi Jo Guraizaan Hain Chand Paimane
Teri Nigah Salamat Hazar Maikhane

Sari Mehfil Ko Nasha Ek Hi Paimane Ka
Ab Kissi Taur Se Qaboo Mein Nahi Aane Ka

Falak Daikhe Gi Tamasha Tere Deewane Ka
Baat Kehta Hai Kuch Aissi Ke Na Samjhe Koi

Ye Bi Ek Gaur Talab Rang Hai Deewane Ka
Chashm-e-Saqi Hai Udhar Aur Mera Dil Hai Idhar

Aaj Takrao Hai Paimane Se Paimane Ka
Baat Saagar Ki Chale Zikar Ho Paimane Ka

Wo Bahar Ayi Naseer Aur Wo Uthe Badal
Baat Saagar Ki Chale Ziker Ho Paimane Ka

Mere Saqi Yeh Tamasha, Tere Maikhane Ka



Credits
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Naseer Ul Deen Naseer
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link