Jane Na Koi

Jaane na koi, pehchane na koi
Jaane na koi, pehchane na koi
Hum ko raaste mein dekho jaana kitni door

Kisi se humein koi aas nahin
Kisi ki humein koi pyaas nahin
Hum ko samjho pagal, ya to bolo magroor

Jaane na koi, pehchane na koi
Jaane na koi, pehchane na koi

Mm, sambhal-sambhal ke is raah pe chalna huzoor
Bhale koi bhi tumhein kare yahaan majboor
Sambhal-sambhal ke is raah pe chalna huzoor
Bhale koi bhi tumhein kare yahaan majboor

Jaana hai door is raah pe
Milna zaroor us paar se
Jahaan kabhi koi gaya, na koi jaayega
Aur jo gaya to tum ye jaano ki woh main hunga, haan, hoon

Jaane na koi, pehchane na koi
Jaane na koi, pehchane na koi
Hum ko raaste mein dekho jaana kitni door

Mm, kabhi-kabhi ye bhi hai laga ke sab hai fazool
Yahaan jo hota hai vo humein nahin hai qabool
Mm, kabhi-kabhi ye bhi hai laga ke sab hai fazool
Yahaan jo hota hai woh humein nahin hai qabool

Par ye na bhool ke tu kaun hai
Tu woh nahi aur woh tu nahi
To phir kaisa ghabraana, kaisa hai darr jaana?
Hum ko bas aage-aage jaana, jaate jaana hai zaroor

Jaane na koi, pehchane na koi
Jaane na koi, pehchane na koi
Hum ko raaste mein dekho jaana kitni door

(Jaane na koi, pehchane na koi)
(Jaane na koi, pehchane na koi)
Hum ko raaste mein dekho jaana kitni door



Credits
Writer(s): Ali Zafar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link