Allah Hari Om

Mazhab juda sahee, magar, vatan to ek hai
Hain phool rang-rang ke, chaman to ek hai
Mazhab ke liye mulk se gaafil to nahin hum
Hain amn ke hami, koyi bujdil to nahin hum
Jhuk saktaa nahin zulm ke aage ye tirangaa
Is par to baha sakate hain hum koon kee ganga

Hindu kee nahin hai, kisi muslim kee nahin hai

Hai hind jiskaa naam shaheedon kee zameen hai

(hum ek the, hum ek hain, hum ek the, hum ek hain)

Bichhde dilon ko jisane ki ik door mein bandha
Ayub ne bhee jiskoo diya, pyaar se kaanda
Vo shastri har dil pe jisane naam likhaa hai
Vo shastri (vo shastri, vo shastri)
Vo shastri har dil pe jisane naam likhaa hai

Apanae lahoo se amn ka paigaam likhaa hai
Vaadaa jo kiya amn ka vaadaa naa todna
Koyi jang pe aa jae to zindaa naa chhodana
Koyi jang pe aa jae to zindaa naa chhodana

Hindu kee nahin hai, kisi muslim kee nahin hai
Hindu kee nahin hai, kisi muslim kee nahin hai
Hai hind jiskaa naam shaheedon kee zameen hai
Hai hind jiskaa naam shaheedon kee zameen hai
(hum ek the, hum ek hain, hum ek the, hum ek hain)

(jai hind, jai hind, jai hind, jai hind)

Credits
Writer(s): Usha Khanna
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link