Humne Jo Dekhe Sapne Sach Ho Gaya (with Dialogues)

Kahaan le jaa rahe ho mujhe? (Mandir mein)
Abhi-abhi keh rahe the
Hamari preet hi hamari pooja hai
Phir mandir kyun?
Bhagwaan ko apni preet
Apni pooja ka sakshi banane ke liye, aao

Bhagwaan tum donon ki jodi banaye rakhe
Dudhon nahao, pooton phalo
Bitiya ki god hari kare
Saat-saat bachche khelein aangan mein
Aajkal saath bachchon ka nahin, Pandit ji
Do ya teen bachchon ka aashirwad dijiye
Mehangaayi ka zamana hai (achchha, achchha!)

Kya keh rahe the pujaari se?
Wahi jo humein karna chahiye
Bachche do, ya zyada se zyada teen
Jaise ke yeh tumhare haath mein hai

Kyun nahin?
Apne zindagi ko, apni family ko
Plan karna khud apne haath mein hai
Hum apne bachche
Bharpur jawaani mein paida karenge

Taaki unko paalne-posne
Unko achchhi taalim dilaane ki zimmedaariyon ko
Achchhi tarah nibha sakein

Lekin suno, humare teen bachchon mein se
Do ladke honge aur ek ladki
Ji nahin, ek ladka aur do ladkiyaan (aise kyon?)
Iss liye ke ladke shararati hote hain
Sambhalna mushkil pad jaata hai (oh-ho-oh-ho!)

Ladke shararati hote hain
Jaise ladkiyaan bechari gaay hoti hain
Gaay hoti hain ya nahin, mujhe do ladkiyaan chahiye
Achchha, baba, tum chaaho toh
Do ki bajaay teenon ladkiyaan paida jar lena
Lekin Bhagwaan se maangna, apni jaisi

Humne jo dekhe sapne...
Humne jo dekhe sapne, sach go gaye woh apne
Oh, mere saajna, din aa gaye hain pyaar ke
Mere saajna, din aa gaye qaraar ke
Humne jo dekhe sapne, sach go gaye woh apne
Oh, mere saajna

Aise hi sada saj-dhaj ke meri
Aankhon mein raho jawaan tum
Aise hi sada saj-dhaj ke meri
Aankhon mein raho jawaan tum
Main chhaaya ban ke saath chaloon
Main chhaaya ban ke saath chaloon
Mujhe le chalo jahaan tum

Humne jo dekhe sapne, sach go gaye woh apne
Ho, mere saajna

Hum janam-janam ke saathi hain
Pooja hain preet hamari
Hum janam-janam ke saathi hain
Pooja hain preet hamari
Iss janam bhi tumko pa hi liya
Iss janam bhi tumko pa hi liya
Main ho gayi tumhari

Humne jo dekhe sapne, sach go gaye woh apne
Ho, mere saajna, din aa gaye hain pyaar ke
Mere saajna, din aa gaye qaraar ke
Humne jo dekhe sapne, sach go gaye woh apne
Ho, mere saajna



Credits
Writer(s): Gulshan Bawra, Anandji V Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link