Phir Se Ud Chala

Phir se ud chala
Ud ke chhoda hai jahaan neeche
Main tumhare ab hoon hawaale
Ab door-door log-baag
Meelon door yeh waadiyaan

Ghar dhuaan-dhuaan
Tann har badli chali aati hai chhoone
Are, koi badli kabhi kahin kar de
Tann geela, yeh bhi na ho

Kisi manzar par main ruka nahin
Kabhi khud se bhi main mila nahin
Yeh gila toh hai, main khafa nahin
Sheher ek se, gaon ek se
Log ek se, naam ek, oh, oh, oh, oh
Phir se udd chala main

Mitti jaise sapne yeh
Kitna bhi palkon se jhaado
Phir aa jaate hain
Itne saare sapne, kya kahoon
Kis tarah se maine tode hain
Chhode hain kyun
Phir saath chale
Mujhe leke ude yeh kyun?

Kabhi daal-daal, kabhi paat-paat
Mere saath-saath phire dar-dar yeh
Kabhi sehra, kabhi saawan
Banoon Raavan, jiyoon mar-mar ke

Kabhi daal-daal, kabhi paat-paat
Kabhi din hai raat, kabhi din din hai
Kya sach hai? Kya maaya hai, Daata? Hai, Daata

Idhar-udhar, tittar-bittar
Kya hai pata, hawa le hi jaaye teri ore
Kheenche teri yaadein, teri yaadein teri ore

Rang-birange vehmon mein main udta phiroon
(Main udta phiroon, main udta phiroon)
Rang-birange vehmon mein main udta phiroon
(Main udta phiroon, main udta phiroon)



Credits
Writer(s): Irshad Kamil
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link