Kashti

Lamhein mere, jo hain tham se gaye
Berang andheron me ghum se gaye
Khaabon ke pankhon ko choothe huye
Hawaon ke rukh, hain badal se gaye

Ghum ke tehkhano se, Banjar maidaano se
Udkar nikal jaane de
Barson se maile jismo ke libaazon ko
Fir se mahak jaane de

Kashti doobe jo, maanjhi roothe toh, tinke juta ke phir tar jaane de
In toofaano se unche iraadon ki, laharein kinaaron se takraane de
Kashti doobe jo, maanjhi roothe toh, tinke juta ke phir tar jaane de
In armaano ki unchi udaano ko, inka mukammal jahaan paane de

Raahon me tham se gaye kaafile
Khaabon ke manzar se jo na mile
Saansein meri fir bhi chal jayegi
Sambhalte sambhalte sambhal jayegi

Joothe riwaazon ki bedum deewaron se Fir aaj takrayegi
Barson se sahami se meri aawazein ye
Sabra kahan payegi

Kashti doobe jo, maanjhi roothe toh, tinke juta ke phir tar jaane de
In toofaano se unche iraadon ki, laharein kinaaron se takraane de
Kashti doobe jo, maanjhi roothe toh, tinke juta ke phir tar jaane de
In armaano ki unchi udaano ko, inka mukammal jahaan paane de



Credits
Writer(s): Abhishek Pipara
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link