Duniyaa (From "Luka Chuppi")

Bulaavein tujhe, yaar, aaj meri galiyaan
Basaaun tere sang main alag duniya

Bulaavein tujhe, yaar, aaj meri galiyaan
Basaaun tere sang main alag duniya
Na aayein kabhi donon mein zara bhi faasle
Bas ek tu ho, ek main hoon, aur koi na

Hai mera sab kuch tera, tu samajh le
Tu chaahe mere haq ki zameen rakh le
Tu saanson pe bhi naam tera likh de
Main jiyoon jab-jab tera dil dhadke

Tujh se mera yeh jee nahin bharta
Kuch bhi nahin asar ab karta
Meri raah tujhi se, meri chaah tujhi se
Mujhe bas yahin reh jaana

Lagi hain teri aadatein mujhe jab se
Hain tere bin pal bhi baras lagte
Bulaavein tujhe, yaar, aaj meri galiyaan
Basaaun tere sang main alag duniya

Jo hove tu udaas, mujhe dekhe, hans de
Tu chaahe mere haq ki zameen rakh le
Tu saanson pe bhi naam tera likh de
Main jiyoon jab-jab tera dil dhadke

Tujh se mili toh seekha maine hansna
Aaya mujhe safar mein theherna
Main toh bhool gayi duniya ka pata
Yaara, jab se tujhe hai jaana

Hai tu hi dil, jaan hai meri ab se
Ve zikr tera na jaaye mere lab se
Bulaavein tujhe, yaar, aaj meri galiyaan
Basaaun tere sang main alag duniya

Jo hove tu udaas, mujhe dekhe, hans de
Tu chaahe mere haq ki zameen rakh le
Tu saanson pe bhi naam tera likh de
Main jiyoon jab-jab tera dil dhadke

Pyaar di raahwaan utte, yaar, tu le aaya
Mainu jeene da matlab aaj samajh aaya
Paraaya mainu karna na tu, sohneya
Channa, main toh rul jaana



Credits
Writer(s): Raja, Bob, Abhijit Vaghani, Kunaal Vermaa
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link