Kar Chalna Shuru Tu

Jo hua hai woh hota hai
Jo hona hai woh hona hai
Jo tere bas mein baatein hai
Unhe khamakha kyun khona hai
Ho jitni bhi hain jitni bhi hain, ummeedein leke
Jaaye kahaan tak jaaye kahaan tak, raaste dekhein

Kar chalna shuru tu
Mud ke naa dekh tu
Jaise hain sahi hain
Ek main aur ek tu
Ho. kar chalna shuru tu (oh ho o ho.)
Mud ke naa dekh tu (oh ho o ho.)
Jaise hain sahi hain (oh ho o ho.)
Ek main aur ekk tu
Ek main aur ekk tu

Nazariya dono ka Miley naa miley
Kadar dono ko hai dono ki
Safar tay yeh kare saath mein bhale
Alag hai manzilein dono ki
Tukda-tukda dhoop ho
Chaahe chutki bharke chaaon bhi
Baraabari se baatein ho zaroorat jo jis tarah ki

Ho jitni bhi hai jitni bhi hai koshishein leke
Jaaye kahaan tak jaaye kahaan tak raastein dekhe

Kar chalna shuru tu (shuru tu)
Mud ke naa dekh tu (naa dekh mud ke naa dekh tu)
Jaise hain sahi hain (sahi hain sahi hain)
Ek main aur ekk tu, (ek main aur ekk tu)

Kar chalna shuru tu (oh ho o)
Mudhke naa dekh tu (oh ho o)
Jaise hain sahi hain (oh ho o ho)
Ek main aur ekk tu
Ek main aur ekk tu

Jo socha hai kab hota hai
Yehi hamesha ka rona hai
Soche bin mil jaaye jo
Usey khamakha kyun khona hai
Jitni mile jitni mile raahatein leke
Jaaye kahaan tak jaaye kahaan tak raastein dekhe



Credits
Writer(s): Amitabh Bhattacharya
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link