Soniye

Aye khuda,
Bata zara mujhe kya hua
Pehli baar aise gumshuda,
Dil mera ho gaya
Darbadar, dhoonde use ab ye nazar
Main bhi na jaanu ki kis kadar,
Dil mera, kho gaya

Jab se hai dekha tujhe,
Ye armaan hai sabhi roshan huye
Ek waari aaja, tu dil mila ja
Zara, khuda ke liye

Soniye, ab ye deewana dil bin tere
Kaise jiye
Soniye, saansein bhi chalti hai,
Ab toh bas, tere liye

Soniye (Soniye)
Soniye... Soniye... Soniye...

Kaisi aafat hai, ye jo chahat sataaye
Din raat aahein bharoon
Bin tere, ab toh saansein bhi na ye bhaaye
Tu bata de main kya karoon

Chahe jaan le le tu, dard de de tu
Hum toh tere huye
Duniya bhula dun, khud ko mita dun
Main ab toh tere liye

Soniye, ab ye deewana dil bin tere
Kaise jiye
Soniye, saansein bhi chalti hai,
Ab toh bas, tere liye

Soniye (Soniye)
Soniye... Soniye... Soniye...

(I believe, O am in Love and
I know that this is Love)

Tumse badhkar na koi hai iss jahan mein,
Sare-aam kehta hun main
Door logon se, door duniya jahan se
Tere dil mein rehta hun main

Khud ko main tujh mein, aa kaid kar lun
Nishaan na mera mile
Chahe aaz-maan le, apna bana le
Mita de sabhi faasle

Soniye, ab ye deewana dil bin tere
Kaise jiye
Soniye, saansein bhi chalti hai,
Ab toh bas, tere liye

Soniye (Soniye)
Soniye... Soniye... Soniye...



Credits
Writer(s): Gaurav Dagaonkar, Seema Saini
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link