Vichaar

Isne usne mujhe roka
Bohto ne mujhe toka
Bina jaan pehchan ke ye
Karte shor phokat ka

Dhyan fir na diya maine
Mujhe khud pe tha bharosa
Socha kabhi mile moka
Uss moke pe maru chauka

Taklifo mai kabhi hota
Bohto ne diya dhoka
Fir dil tha mera tuta
Akela kabhi tha rota

Kathinaiyo ka ye jhoka
Kareebiyo ne sath choda
Bahad aayi musibat ki
Fir kismat ko nhi kosa

Vichaar ka bhandar
Maine panne pe uttara
Ache bure waqt mai mujhe
Kalam ne sambhala

Mehnat se kamau
Kamiyabi ka mai pyaala
Mera flow andaaj mera
Dono hai nirala

Ek gaana nahi chala
Bura laga boht zyaada
Sudhar kiya maine
Ab wapas mai hu aara

Music mai jaan bhi
Emotion maine daala
Alag andaaz mai apni
Kahani mai batara

Pyaar karte hai jo unse
Mohobat zara jyaada
Nafrat karne walo ne
Mera kuch na ukhada

Jo chaha maine paana
Mujhe jeetke dikhana
Agli line se chorus
Wapas chalu hone jaara

Vichaar ka bhandar
Maine panne pe uttara
Ache bure waqt mai mujhe
Kalam ne sambhala

Mehnat se kamaunga
Kamiyabi ka mai pyaala
Mera flow andaj mera
Dono hai nirala

Rehmat barsegi
Kabhi na kabhi
Aur kahi na kahi
Pohochunga wahi

Zyaada sochta nahi
Sach likhta wahi
Mujhe jaanta nahi toh
Gaane sun le kabhi mere

Mere mere mere

Vishwas khud par
Akhand shabdakosh
Ghamand nahi mujhe



Credits
Writer(s): Ankit Ashutosh Sabadra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link