Likhta Hai Woh Taqdeer

Kaise koyi jaane, bhalaa khwaabon kee tabir
Akaash pe baithaa hua likhata hai vo taqadeer

Kis rang se jaane bane jeevan kee tasveer
Akaash pe baithaa hua likhata hai vo taqadeer

Jiskoo khushii se jeenaa ho, ye baath vo jaan le
Marzi ho jo bhaghavaan kee hans ke use maan le, maan le

Jis se bane gam bhee kushi hai ye vahee tadbir
Akaash pe baithaa hua likhata hai vo taqadeer

Do roz kee ye zindagi kis chiz ka naam hai?
Har ek subah hai bekhabar, anjaan har shaam hai, shaam hai

Kisko pata toote kahaan saanson kee zanjeer
Akaash pe baithaa hua likhata hai vo taqadeer
Kaise koyi jaane, bhalaa khwaabon kee tabir
Akaash pe baithaa hua likhata hai vo taqadeer

Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Kudalkar Laxmikant, Pyarelal Ramprasad Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link