Kyun

Kyun
Leke Qallam o kitaab main
Betha hua apni ghaar me
Apni akkar apni khaar me
Dur hua sansaar se Kyun?
Koi samjhay na ramz mera?
Kyun Bujh gaya shams mera?
Kyun utray na qarz mera?
Pura nahi hua farz mera, Kyun?
Aage dikhay mujhe baatin
Sab guzray me saakin
Har aafat ka zaamin
Chalaa aakhir ki jaanib Kyun?
Pur itmenaan me, Khush betha hun zawaal pe
Khush kyun is haal me?
Kyun betha chup chaap me?
Jab hun raazdaar me, Sab ke raaz jaan ke
Hanstay lutnay waalay se puch
Zawaal pe betha jo dekh ke urooj
In gardishon ki qaid me, Is jadd o jehad me
Zehen ke shetaano ko jism ki bait me
Karke qaid khud, khud pe hi haawi
Kheenchun me dairay aur charkhay masaawi
Juggatton pe hans ke me lughaton me likh lun
Me Shia hun? Kafir hun? Sunni hun Sikh hun?
Me kya hun? Kahan hun? kab tak aur kyun hun?
Kyun ab bhi is aas me ke KUN FAYA KUN ho?
Koi mitti kaffan do, dedo koi phanday
Dedo is laash ko qabbar tak ke kandhay
Me zabt e musalsal me, zabt hun is daldal me
Karta hun wird aur qalmay me kal kal ke
Hulchul me kharch kardi saansain ye saari
Khareedi hain khud hi ye khudkush bemaari
Mere lafzon me dhoondo na chain aur sakoon
Jab qallam pe siyaahi ki jagah ho khoon
Kyun? Nahi saada mizaaj me?
Ya hun saada samaaj se?
Sab faiday uthaa ke, bahaanay banaa ke
Kehtay Allah Hafiz me jaun kahaan pe?
Kyun? Be rukh hun me darr se?
Be khabbar me Qabbar se
Banaata phirun kya minaar sang e mar mar ke?
(Sadaa mar mar ke)
Kyun ye rooh samjhay khud ko kedaar?
Kyun ye zameer har baar zimmedaar?
Har waar me main haar ke reh gaya is paar main
Ab khud se hi jang hun khud se me tang
In rangon me basnay ka, rachnay ka dhang nahi
Shayad tabhi tanha koi mere sang nahi
Jo sach na uglay tu mera qallam nahi
Kyun ab tak tootay ye mere bharram nahi?



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link