IIT Ki Kahani

Chalo leke chalu tumhe ek sair pe
Kaan zara khole aur sune thoda thair ke
Baat na ye aaj ki beete bhoot kal ki
Umar thi humari jab 15-16 saal ki
Auron ki tarah hume bhi kisi ne saalah di
Iit tum karlo hai cheez kamaal ki
Za jyada thi akal aur soch bhi naadan
Sab chood utre beech maidaan
Shuru kiya pta chala na the akele
Log the lakhon jaise kumbh ke mele
Mehnat full force par lage 2-3 saal
PCM ne kiya tha bura haal
Gin gin bus kat rhe the din
Mann karta tha koi mil jaaye jin
Aa gya tha fir imtihaan ka din
Some did lost but we got the win

Sab hua khtm mann mein lakho khwaab
Par jab pahunche to mann thoda atkaa
Wo bhi kehne laga saala ye kya hai janaab
Koi na thi choice to khud ko samjhaya
Jee lenge zindagi without moh maaya
Pehla saal nikla na tha koi bhi load
Full chill life thank you my Lord
Jab aaya fest to nikla paseena
Hardwork on par koi bhi faseena
Dheere ho rha tha pressure increase
This was not so easy save me please
Padhne mein samay lagta tha thoda kam
Kuch lage khelne mein kuch maare dum
Ajnabi chehre ban gye the hum dum
Saal aaya teesra fatne lagi bum
Job na lagegi to barsenge bum

Padhna ho gayi thi fir ek majboori
Kam ho rhi thi kitabon se meri doori
Jaise taise ho gya tha placement
Time was near of our displacement
Ab jaane waale aur saath jaayengi yaadein
Aise yaar dost pta na mile kahan pe
Aaj thoda dil bhi mera ye hai rota
Kaash college life ka THE END na hota
Ab jaane waale aur saath jaayengi yaadein
Aise yaar dost pta na mile kahan pe
Aaj thoda dil bhi mera ye hai rota
Kaash college life ka THE END na hota

Kaash college life ka THE END na hota
Kaash college life ka THE END na hota
Kaash college life ka THE END na hota



Credits
Writer(s): Vivek Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link