Masihaa Rakshak Hamaraa

Ye zindagi phansi hai maya jaal mein
Bas jee rahe shaitan ke dhokhe mein
Bas jee rahe papon ke saye mein
Bas jee rahein hain maut ke saye mein

Jane hai wo, kyon janme hain hum
Jane hai wo, kyon jee rahein hai hum
Jane hai wo, bhavishya aur anth
Jane hai wo, jawab sab rahasyon ka

Hum jannat ke waasi
Jannat mein hai pita hamare
Unhe hai hamara intezaar
Wo aye the hamare liye

Wohi hai masihaa
Rakshak hai masihaa
Wohi hai masihaa
Rakshak hai hamara
Wo hai masihaa
Rakshak hai hamara
Wo hai masihaa
Rakshak hai masihaa

Usne thami hai jannat ki sidhdhiyaan
Dikhayaa uska sone ka darwaaza
Diya hai chabi jannat ke hukumat ka
Hamein hai usne kalesh se bachaya

Nniv ka patthar hai nai zindagi ka
Kirdaron ka hai wo janmdata
Shaitan kho dega hum par taqat
Uske shrap se bachaiga masihaa

Yeshu sang sankre dwar mein jayenge
Yeshu sang sankre path pe chalenge
Phal ki chah hai hamein pawan ruh se
Hai chahat uske hikmat aur ilm ka

Hai chahat pawan khuda ke nasihat ki
Chah andhere ko cheer ke dekhne ki
Chahat unchi diwarein phalangne ki
Chah fareeb-e-nazar se jagne ki

Ye raushni ek dhokha hai
Chahat hai khuda ke raushni ki
Raushni se khulegi ankhein
Yeshu mein suraj ki chamak hai

O masihaa
Rakshak hai masihaa
Masihaa
Rakshak hai hamara
Masihaa
Rakshak hai masihaa
Masihaa



Credits
Writer(s): Sourabh Kishore
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link