Mujhse Pehli Si Muhabbat

Mujh se pehli si muhabbat
Mere mahboob na maang...
Mujh se pehli si muhabbat
Mere mahboob na maang

Maine samjha tha ke tu hai
To darakhshan hai hayat
Tera gham hai to
Gham-e dehar ka jhagda kya hai
Teri surat se hai
Alam mein baharon ko sabaat
Teri aakhon ke siva
Duniya mein rakha kya hai

Tu jo mil jaaye to
Taqdeer nigun ho jaaye
Yoon na tha maine faqat
Chaaha tha yoon ho jaaye

Mujh se pehli si muhabbat
Mere mahboob na maang
Mujh se pehli si muhabbat
Mere mahboob na maang

Anginat sadiyon ke tareek bahimana talism
Resham-o-athlas-o kam khwab mein bunwaye hoye
Ja-ba-ja bikte hoye koocha-o bazar mein jism
Khaak mein lithde hoye khoon mein nehlaye hoye

Laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya keeje
Ab bhi dilkash hai tera husn magar kya keeje
Aur bhi dukh hain zamane mein muhabbat ke siva
Rahatein aur bhi hain wasl ki rahat ke siva

Mujh se pehli si muhabbat
Mere mahboob na maang
Mujh se pehli si muhabbat
Mere mahboob na maang



Credits
Writer(s): Faiz Faiz
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link