Woh Jahaan

Neela aakash jo ik samandar hai
Usme kahin koi aisa sitaara bhi hai
Jisme doosri ikk duniya ho basi
Jisme ho jaagti zindagi

Par humse alag, humse judaa
Ik nishaan bhi na ho jahan dard ka
Jeena jahan ho nahi mushkil

Koi rota na ho
Chain khota na ho
Ho ye sabko yakeen
Koi tanha nahin
Na kabhi toote kisi ka dil

Woh jahaan, koi dukh ho na ho koi gham
Woh jahaan, palkein na hon num
Dilon mein ho na deewarein na dooriyan
Woh jahaan, poore ho armaan

Sabko ho ye pataa
Sab dilon mein
Mohabbat ek gehri dhara bhi hai
Neele aakash mein
Koi aisa sitara bhi hai

Neele aakash ke iss samandar ka
Chand ki kashti mein maine kiya hai safar
Dhoondti ho agar tum jo duniya haseen
Woh duniya hai yahin
Woh yahin hai kahin

Haan magar uske chehre par
Nafrat ki zulm ki
Ikk dhool hai jam gayi

Haan magar uske tann pe lipti
Lalach ki hai zanjeer toh
Woh duniya aate aate tham gayi

Uske chehre se ye dhool hatt jaaye toh
Uske tann se ye zanjeer kat jaaye toh
Dekhna phir yahaan
Iss zameen par hi hogi woh duniya

Woh jahaan, koi dukh ho na ho koi gham
Woh jahaan, palkein na hon num
Dilon mein ho na deewarein na dooriyan
Woh jahaan poore ho armaan

Muskurati ho chehron pe ik roshni
Zindagi ho mohabbat bhari zindagi



Credits
Writer(s): Javed Akhtar, Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link