Khush

Nahi khush tu, kaise mein khush rahoon
Rang sare kaley dikhey kisko yeh kahoon

Zindagi hai soot rahi
Mein koi mehboob nahi
Jheelo pe mein chalu par
Shikwa na dikhey kahi

Maano ya na maano
Meri hasti ab doob rahi
Kashti sambhaalu ya gir ke khud ko utha lu
Terey ghumo ko suljha doon aisa seekhu koi jaadu fir banadu sab aaala
Chup jaise koi saadhu, lekh gaadu fir bhi raaz hoon

Seedha saadha aadmi mein
Jeeta jaagta raaz bhi mein
Ghoom phir ke fir vapis
Khushiyon ko hafiz

Sooraj aata hai
Le kal aata hai
Muskurau yaa nahi

Man chillata hai
Par sannata hai
Mein gaau yaa nahi

Mein gau yaa nahi
Ab mein gaau yaa nahi

Khaali raaston pe khel par mujhe nahi dikh rahe vo
Mere rogon ko jhel, fakeeri merey jigrey ko
Kasoor ko baha doon iss kala mein
Phir saboot pesh bhari si sabha mein

Dooba hua naasamjhi mein, baatein karu samjhi hui
Roo ba roo naa zindagi se bolu saari sacchi sui
Lagey jab unko vo bhadkey ajab se
Ghazab chehrey agey bharey hue jab vo khapptey

Vo boley toh mein maun, mujhse pooche tu hai kon
Mein khulli kitaab panney merey behisaab
Mein khulli kitaab panney merey behisaab

Yeh shaayar ki zubani hai
Yeh dhun koi puraani hai
Pyaar mein doobey aashiq ki yeh, sacchi kahani hai
Jab zindagi suhaani thi, pass naa mere raani thi
Door tha pyaar zara sa, kismat meri sayani thi

Tujhe kho doon, mein khush hoon
Tu ro de, mein chup hoon
Tu boley, mein sun lu
Tu chal de naa rokun
Tu ojhal, hai sukh kyu
Tu ojhal, mein khush kyu

Sooraj aata hai
Le kal aata hai
Muskurau yaa nahi

Man chillata hai
Par sannata hai
Mein gaau yaa nahi

Mein gau yaa nahi
Ab mein gaau yaa nahi



Credits
Writer(s): Tarun Kukreja
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link