Ik Firangi Sapna

Kahaani shuru hoti hai us waqt se
Jab maine pehli baar ek hawaijahaaz dekha tha

Aasman mein dekhoon main
Ik oodan khatola
Baadalon ko cheerta woh
Do pankh aage ek gola

Baaz jaisi tez raftaar se hai udta
Is ehsaas ko mehsoos karte aankhein khuli rakhta

Dekhoon main, har pal har lamhaa
Bas ik firangi sapna
Dekhoon har pal har lamhaa
Bas ik firangi sapna

Raastein hain lambe aur
Baatein hain Itni gehri
Mere dil ko pass bulati
Yeh zulfein laal sunehri

Raastein hain lambe aur
Baatein hain Itni gehri
Mere dil ko pass bulati
Yeh zulfein laal sunehri

Thandi, jaise, ho, pahadi shimla
Nami, jaise, ho, retila sahara

Dekhoon main, har pal har lamhaa
Bas ik firangi sapna, Ho
Dekhoon har pal har lamhaa
Bas ik firangi sapna, Ho

Rangeele log Har taraf aur
Dhoondhoon Mera desi yaar
Gaaoon ab angrezi taraane
Yaad aayein woh gaane puraane

Aakhir yeh jeet hai ya haar
Iska nahin hoon main jaankaar

Soya hai woh rota bachcha
Apni maa ke daaman mein
Main chalta rahoon khwaab lekar
Uljhan ke is aalam mein

Haan

Dekha tha Maine
Bas ik firangi sapna, Haan
Dekha haan maine
Bas ik firangi sapna, Ho

Ohh Ohh Ohh Ohh Ohh Ho
Ohh Ohh Ohh Ohh Ohh Ho

Sapna, Firangi Sapna

Ahh Ahh Ahh Ahh Ahh Ahh Ahh Ahh Ahh
Ahh Ahh Ahh Ahh Ahh Ahh Ahh Ahh Ahh

Sapna, Firangi Sapna

Aah Aah Aah Aah Aah Aah Aah Aah Aah



Credits
Writer(s): Omkar Bhalerao
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link