Zamana Nazuk Hai

Hazaaron hasaraten aisee ki har hasarat pe dam nikale
Bahut nikale tere armaan, lekin phir bhee kam nikale
Nikalnaa kuld se aadam ka sunate aaye hain, lekin
Bahut be-aabru ho kar tere kuche se hum nikale

Pyaar kee kaliyon se, o, beta, kar le bistar gol
Zamana najuk hai, zamana najuk hai
Baath pate kee kehtha hoon main, dekh baja ke dhol
Zamana najuk hai, zamana najuk hai

Chalaa hans kee chaal jo kaua, apanee chaal bhee bhuulaa
Chalaa hans kee chaal jo kaua, apanee chaal bhee bhuulaa
Raah chalaa majanun kee beta, ho gaya langadaa-lula

Are, sun, mere munna
Sun, mere munna, ab naa karnaa hero ka ye role
Zamana najuk hai, zamana najuk hai
Pyaar kee kaliyon se, o, beta, kar le bistar gol
Zamana najuk hai, zamana najuk hai

Binaa police ke pehre ke us kuche mein naa jaanaa
Haan, samjhe naa?
Binaa police ke pehre ke us kuche mein naa jaanaa
Jaanaa ho to jaan ka beemaa pehle tum karwaanaa

Are, maar ke danda...
Maar ke danda khol naa daalen tere sar ka khol
Zamana najuk hai, zamana najuk hai
Pyaar kee kaliyon se, o, beta, kar le bistar gol
Zamana najuk hai, zamana najuk hai

Kahaan pe chhidakun boric powder? kahaan pe chuunaa-haldi?
Kahaan pe chhidakun boric powder? kahaan pe chuunaa-haldi?
Zaalim duniyaa yaar ko mere ghaayal karke chal dee

Are, apanee jaan kee...
Apanee jaan kee khaatir ab to dil pe kar control
Zamana najuk hai, zamana najuk hai
Pyaar kee kaliyon se, o, beta, kar le bistar gol
Zamana najuk hai, zamana najuk hai



Credits
Writer(s): Raja Mehdi Ali Khan, Ravi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link