Kal Ke Ye Pal (Unconditional Dosti)

Kal ke ye pal bole mere saath chal
Inme hai kahi chupi, Ek kahani kuch aisi
Waqt ke panno se jo, kabhi hogi na ozal
Ye kahani yaro ki, yaariyaa nadaano ki
Wo agaaz tha, ek naye safar kaa
Aage wo mukaam tha, jo na asaan tha
Thaame ekdoojeko sung
Phir bhi wo pade nikal (H)
Ye Kahani hai oonki!
Jo saath the kal bhi
Jo Saath hai aaj bhi
Unconditional dosati ki

Kuch puraane panno pe, ye purani tasvire
Yaade taza karti hai, Aakhe num karjaati hai
Tasviro me hai base, ye Jo jasjbaat hai
Inka na hai koi mol, na taraju me tu tol
Sacchi Dosati hai kya, humse jo koi pooche
Khamiyoki Diwaware, todake tuzase ye kahe
Apnayaa hai jo tuzko
Leke sung chale subko
Ye Kahani hai oonki!
Jo saath the kal bhi
Jo Saath hai aaj bhi
Unconditional dosati ki

Chalte chalte rukta hoo, Ruk ke peeche moodta hoo
Muzko dikhtaa hai wo kal, kal me jo chupe wo pal
Kitne mausam beet gaye, par na beete hai wo pal
Jisme tha yaroka saath, Dil se Dil ki kehete baat
Sab ki apni manjile, apne apne raasate
Apni dhun me chale, paayee har wo manjile
Par na bhoola ye koi
Hum kaha se the chale!
Ye kahani hai oonki!

Ye Kahani hai oonki
Jo the saath kal bhi
Jo hai saath aaj bhi
Saath Honge wo kal bhi

Hai Yaro ka ye saath
Yariyoki saugaath
Hase roye saath saath
Gir ke obhare saath saath
Ghire Gumoke ke baadal

Odhaa Khushiyon ka Aanchal
Chode Shikwe gile
Hum Gaye aage Nikal

Jaha me ho kahi hum
Khaye hai humne kasam
Na hongi yariyaa kum
Na hoga ye pyaar kum

(Ye Kahani hai oonki
Jo the saath kal bhi
Jo hai saath aaj bhi
Saath Honge wo kal bhi)

Ye Kahani hai oonki
Saath Honge wo kal bhi



Credits
Writer(s): Shantanu Rao
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link