Fasle Gul Hai

fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye
zid na keejiye janaab pii leejiye

fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye
zid na keejiye janaab pii leejiye
fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye
zid na keejiye janaab pii leejiye

maikashoN mujh tak ye ghanghor ghatayeN aayiiN
tum pe rahmat hu'ii, taubaa pe balaayeN aayiiN
maikashoN mujh tak ye ghanghor ghatayeN aayiiN
tum pe rahmat hu'ii, taubaa pe balaayeN aayiiN

fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye
zid na keejiye janaab pii leejiye

pii leejiye
jhuumtii Qiblaa se ghanghor ghataayeN aayiiN haiN
sharaab to pii leejiye

sheikh jii thoRii sii pii lo aaj to
kaun dekhegaa andherii raat hai

muskuraao bahaar ke din haiN
gul khilao bahaar ke din haiN
mai nahiiN to ashq-e-gham hi sahi
pii bhi jaao bahaar ke din haiN

jaa ke dil sad baaraa sii lo
kuch der to beKhudii meN jii lo
kyuuN hazrat-e-zaahid hai tahammul itnaa
maiKhane kii Khairaat hai pii lo

aage chal kar hisaab honaa hai
is liye be-hisaab pii leejiye

do-do qatre haiN jaam ke andar
kar ke zer-e-niqaab pii leejiye

fasl-e-gul hai sharaab pii leejiye
zid na keejiye janaab pii leejiye

jo piye chhup ke vo munaafiq hai
be-takalluf sharaab pii leejiye

dil kaa shiisha hai aur Khuluus ki mai
ab to aalii-janaab pii leejiye

jaavidaanii suruur aayegaa
aasmaanii gulaab pii leejiye

aap aur itnii zid "Adam" saahab
harj kyaa hai sharaab pii leejiye



Credits
Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Farrukh Ali Khan, Zafar(garakhpuri Zaf Gorkh Puri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link