Behna Ka Pyaar (feat. Pragya Patra) [Acoustic Mix] [Acoustic]

Kabhi katti jhooti mooti takraar hai
Kabhi khatti meethi meethi si fuhar hai
Kabhi katti jhooti mooti takraar hai
Kabhi khatti meethi meethi si fuhar hai

Usse hi meri muskaan hai
Khushiyon ki meri pehchaan hai
Aisa meri behna ka pyaar hai

Kabhi ladta fir manaata har baar hai
Uljhan se jo jujhe woh deewar hai

Usse hi meri muskaan hai
Khushiyon ki meri pehchaan hai
Aisa mere bhaiyya ka pyaar hai
Hooo Aisa mere bhaiyya ka pyaar hai

Mumma ke aage banta bechara
Mujh pe dosh saunp ke
Hooo Apna muh fula ke jhooti mooti rona
Dikha ke har baat pe

Un badmashiyon mein bhi
Meethi si ek kashish thi
Aaj bhi yeh dil mera talabgaar hai

Kabhi katti jhooti mooti takraar hai
Kabhi khatti meethi meethi si fuhar hai
Usse hi meri muskaan hai
Khushiyon ki meri pehchaan hai
Aisa meri behna ka pyaar hai

Payal jo chanke khilta hai mera angana jhoomke haye
Sar apna jab woh godi me rakh le
Sajta hai daaman mera
Wo mamta pe teri haq hoga mera
Beshumar pyaar meri thakaan ka karaar hai

Kabhi ladta fir manaata har baar hai
Uljhan se jo jujhe woh deewar hai

Usse hi meri muskaan hai
Khushiyon ki meri pehchaan hai
Aisa mere behna ka pyaar hai
Hooo Aisa mere bhaiyya ka pyaar hai



Credits
Writer(s): Sanket Banker & Hritik Gathiya
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link