Siyahi

Bol gaata zindagi ke main, banti thi meri kahani
Seedhe saade vo khayal the sifar si thi meri kahani
Rooh ki jo ek chhavi si dikh gayi
Lafz-dhun mein jo thi doorie mit gayi anjaane mein
Ooh ooh.ooh ooh... ooh ooh

Kabhi na kehta khud se aisi baatein jaane kaise usko chhu gayi
Rafeeq-e-kismat ki khatti meethi aadaton ki aadat hone lagi
Ooh ooh.ooh ooh... ooh ooh

Lafz baatta raha main soch thi tabhi nahi
Mehfil mein uske aaya main guftagu tabhi hui
Payaamo ke safar shuru hue, aankhon mein us hi ke khat khile
Geet ab toh mere hote poore kyun ki
Dhun ka main sufi aur mann ki tu sufi mile

Jo muskuraata main vo qaid kar jo uski tasveerein ban gayi
Ho jiski na khabar jo na suni vo aisi dastaan jeene lagi
Khayaalo ke nazaro mein vo behti aur behakti phir vo khone lagi
Chhupi kahani jo kitaab ke hi lafzo mein vo dhundhti reh gayi
Laga jo dar us hi ko khud ke aur khuda ke aitbaar se lad gayi
Kalam jo usko di naseeb ne us hi ki vo siyahi ban gayi

Bol gaata zindagi ke main, banti thi meri kahani
Mehfil mein uske aaya main, guftagu tabhi, tabhi hui



Credits
Writer(s): Aditya Kambhampati
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link