Aarambh

Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund
"Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do"

Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund
"Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do"
Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do

Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund
"Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do"
Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do

Aarambh hai prachand...

Man kare so praan de, jo man kare so praan le
Wahi to ek sarv shaktimaan hai
Man kare so praan de, jo man kare so praan le
Wahi to ek sarv shaktimaan hai

Vishw ki pukaar hai, ye Bhagwat ka saar hai
Ki yuddh hi to veer ka pramaan hai
Kauravon ki bheed ho ya Pandavon ka need ho
Jo lad saka hai woh hi to mahaan hai

Jeet ki hawas nahi, kisi pe koi vash nahi
Kya zindagi hai, thokaron pe maar do
Maut ant hai nahi to maut se bhi kyun darein?
Ye jaake aasmaan mein dahaad do

Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund
"Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do"
Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do

Aarambh hai prachand...

Ho daya ka bhaav, ya ki shaurya ka chunaav
Ya ki haar ka wo ghaav, tum ye soch lo
Ho daya ka bhaav, ya ki shaurya ka chunaav
Ya ki haar ka wo ghaav, tum ye soch lo

Ya ki poore bhaal par jala rahe vijay ka laal
Laal ye gulaal, tum ye soch lo
Rang kesari ho, ya mridang kesari ho
Ya ki kesari ho taal, tum ye soch lo

Jis kavi ki kalpana mein zindagi ho prem geet
Us kavi ko aaj tum nakaar do
Bheegti nason mein aaj, phoolti ragon mein aaj
Aag ki lapat ka tum baghaar do

Aarambh hai prachand, bole mastakon ke jhund
"Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do"
Aan, baan, shaan ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do

Aarambh hai prachand...
Aarambh hai prachand...
Aarambh hai prachand...



Credits
Writer(s): Piyush Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link