Aansu

Hansti rahe, tu hansti rahe
Jab tak meri, hasti rahe
Jesi tu hai, jesi bhi hai
Achi lage, tu esi hi reh
Rehti hai tu, meri baahon mein
Darti hai tu, kahin door na jaun main
Kehti na kuch, par keh sab jaati hai
Ladti bht, fir galey lagati hai

Or na kisi ko dekhun
Bas tujhko hi jhankun
Teri palke jese kagaz
Bheegne inko na dun
Teri ek hansi ke khatir
Khud ko hi rula dun
Waada hai teri aankho mein
Aane na dun aansu

Khilti rhahe, tu khilti rahe
Roz shaam, mujhe milti rahe
Jesi tu hai, jesi bhi hai
Aachi lage, tu esi hi reh
Mujhpe vese to nazar vo puri rakhti hai
Par duniya k saamne thodi doori rakhti hai
Uske hisab se duniya nazar lagati hai
Pehle se hai tuti fir na tutna chahti hai

Or na kisi ko dekhun
Bas tujhko hi jhankun
Teri palke jese kagaz
Bheegne inko na dun
Teri ek hansi ke khatir
Khud ko hi rula dun
Waada hai teri aankho mein
Aane na dun aansu



Credits
Writer(s): Lalit Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link