Pehchan

Ladka mai bhi seedha saadha ladka mai ek aam hoon
Flow ke saath behta mai hiphop ki pehchan hoon
Ye jaan le mai jaan doon, Agar tu mujhko jaanta
Ghut raha hoon khud hi mein mai khud ko na pehchanta

Ye raaste ajeeb hai, lakir se hai faasle
Manjil mere saamne, kyun sheeshe ke ye raaste
Faasle hai dur karne lena maine faisla
Maa baap ka haath sar pe mere aasma pe hausla

Na sochna ke darr gya teri gandi zubaan se
Mai surkhiyon pe hoon khada tu cheeti aasmaan se
Chahoon to jung jeet loon jag jeetne ki hai kala
Cheetah hoon iss race ka na darta hoon haiwaan se

Insaan se mai darta hoon kyun harqat inke dogle
Aaj aisi zindagi hai kal kya hoga sochle
Sochle, socha maine hona kya bhavishya mein
Bezubaan ki zubaan kal ka hoon bhavishya mai

Jaan hiphop - music mera hai jahan
Ladai meri khud se hai - mai de raha hoon imtehaan
Saath mere na koi hiphop mein mai hoon khada
Pyaar isse krta hoon sangeet meri mashooka

Mai kar chuka mai sun chuka hoon in logon ki baat ko
Likhta hoon andhere mein mai sota na hoon raat ko
Jazbaat ko mai thaam loon - dhairya se mai kaam loon
Ek mera hai khuda mai pehle uska naam loon

Mai dikhta jo wo hoon nahi, hai dard mere seene mai
Aankhein meri nam hai aur ghutan sa kyun hai jeene mai
Khauf si hai zindagi aur kadmon par hai keel kyun
Marta jaa raha hai sach aur jee raha hai reel kyun

Kal se seekhta hoon mai na sochu kal ke baare mai
Hass ke jee rahi hai maa to khushi hai nazaare mai
Kaali meri zindagi kal ginti meri taaron mein
Mai sach bakta jaaunga le ban chuka hoon shayar mai

Seher meri choti - soch meri aage hai
Likh doon apne khoon ne, sacche mere iraade hai
Haath mere kaat do mai phir v likhta jaaunga
Mai paaglon sa shayar hoon - mai shayari sunaunga

Ameeron ko ameer bante dekha, gareebon ko gareeb
Bhukhe pait marte dekha jitne bhi ho shareef
Dharm ke naam pe marte dekha maine insaan ko
Paison se taulte hai ye samman ko

Apno ke liye rote dekha maine insaan ko
Apno ko rulaate dekha maine insaan ko
Apno ke liye marte dekha maine insaan ko
Apno ko hi maarte dekha maine insaan ko

Haiwaan ban chuke hai hum pralay ab paas hai
Phir savera aayega hum sab ke dil mai aas hai
Bolta hi jaaunga burayi ka bhi naash ho
Aaj jo haiwaan hain kal murda laash ho



Credits
Writer(s): Shahroz Ahmad
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link