Main Zindabad Hoon

Saayah-e-Khuda-e-Zuljalaal
Tarjuman-e-maazi, shaan-e-haal
Saayah-e-Khuda-e-Zuljalaal
Tarjuman-e-maazi, shaan-e-haal
Rahbar-e-taraqqi-o-kamaal

Main Pakistan hoon
Main Pakistan hoon
Main zindabaad hoon
Main zindabaad hoon
Main Pakistan hoon
Main Pakistan hoon
Main zindabaad hoon
Main zindabaad hoon

Haan maana, mere dushman hain bohot
Dost hain kam
Haan maana, mere apnon ne
Kiye hain sitam
Haan maana, aag bujhaane ko hai paani thora
Par main ne apne bacchon ko tanha nahi chora
Haan maana, aag bujhaane ko hai paani thora
Par main ne apne bacchon ko tanha nahi chora

Main shaheen hoon Iqbal ka
Main ghar Haider ki aal ka
Main Quaid ka farmaan
Mere seene mein Quran
Main Kheyber, main Punjab
Main Sindh, Balochistan

Main Pakistan hoon
Main Pakistan hoon
Main zindabaad hoon
Main zindabaad hoon
Main Pakistan hoon
Main Pakistan hoon
Main zindabaad hoon
Main zindabaad hoon

Mujh par duniya ki nazrain hain har pal
Hai aaj bhi mera, mera hoga kal
Mujh par duniya ki nazrain hain har pal
Hai aaj bhi mera, mera hoga kal
Ham talvaaron ki nok pe charh ke naghme gayen
Ham woh hain jo bas seene pe hi goli khayen
Ham talvaaron ki nok pe charh ke naghme gayen
Ham woh hain jo bas seene pe hi goli khayen

Main ummat ka saalar hoon
Main Allah ka asraar hoon
Mera har fauji jawaan
Jese ho khari chataan
Main hoon Kashmir ki waadi
Main Gilgit-Baltistan

Main Pakistan hoon
Main Pakistan hoon
Main zindabaad hoon
Main zindabaad hoon
Main Pakistan hoon
Main Pakistan hoon
Main zindabaad hoon
Main zindabaad hoon



Credits
Writer(s): Naqash Haider
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link